Pages

Showing posts with label Tabeer. Show all posts
Showing posts with label Tabeer. Show all posts

Friday, April 1, 2011

Tasavvur

Lahu se dil ke kagaz par koi tahreer hoti hai,
To ahl-e-dil samjhte hain yahi taqdeer hoti hai,

Tujhe khwabon me aksar log mujhse chheen lete hain,
Suna hai sab khwabon ki ulat tabeer hoti hai,

Yahi chahat kisi ko taaz ki surat nazar aaye,
Yahi chahat kisi ke paon ki zanjeer hoti hai,

Wafa ki jung talwaron se jeeti ja nahi sakti,
Ke sachai aur mohabbat se wafa ki jeet hoti hai,

Suno gazlein be'sabab likhi nahi jati,
Ke shayar ke tasavvur mein koi tasveer hoti hai...!!!

**********

लहू से दिल के कागज़ पर कोई तहरीर होती है,
तो अहल-ए-दिल समझते हैं यही तकदीर होती है,

तुझे ख्वाबों में अक्सर लोग मुझसे छीन लेते हैं,
सुना है सब ख्वाबों की उलट ताबीर होती है,

यही चाहत किसी को ताज की सूरत नज़र आये,
यही चाहत किसी के पांव की ज़ंजीर होती है,

वफ़ा की जंग तलवारों से जीती जा नहीं सकती,
के सचाई और मोहब्बत से वफ़ा की जीत होती है,

सुनो गजलें बेसबब लिखी नहीं जाती,
के शायर के तसव्वुर में कोई तस्वीर होती है...!!!

Tuesday, July 7, 2009

Ye Aur Baat Hai

Meri har ik ada mein chhupi thi meri tamanna,
Tum ne mehsoos na ki ye aur baat hai,

Maine har dam tere hi khwab dekhe,
Mujhe tabeer na mili ye aur baat hai,

Maine jab bhi tujhse baat karna chahi,
Mujhe alfaaz na mile ye aur baat hai,

Main meri tamanna ke samandar mein door tak nikla,
Mujhe sahil na mila ye aur baat hai,

Qudrat ne likha tha tujhko meri tamanna mein,
Meri kismat mein naa likha tha ye aur baat hai...


Bookmark and Share