Pages

Showing posts with label alfaaz. Show all posts
Showing posts with label alfaaz. Show all posts

Saturday, February 12, 2011

Tabiyat

Hui taskeen jab dard se, fir asai'shon si rahi tabiyat,
Seencha ashkon ne aankho ko aise, paimayi'shon si rahi tabiyat,

Sare'aam chand bola falak se, taaron se nahi koi shikayat,
Goonje alfaaz is dil mein bhi, numayi'shon si rahi tabiyat,

Na jane kaise kaise daur leke, abr hain guzre meri gali se,
Kisi bhi mausam na ghar se nikle, barishon si rahi tabiyat,

Har zindgi ka falsafa dekhiye, falsafon ki zindgani,
Kehti har zeest bas yahi, khwahishon si rahi tabiyat,

Deewaron se tiki tanhai jab, to raushan aur charaag hua,
Mehka aalam kuch is kadar, ki aarayi'shon si rahi tabiyat...!!!

**********

हुई तस्कीन जब दर्द से, फिर असाईशों सी रही तबीयत,
सींचा अश्कों ने आँखों को ऐसे, पैमाईशों सी रही तबीयत,

सरे आम बोला चाँद फलक से, तारों से नहीं कोई शिकायत,
गूंजे अलफ़ाज़ इस दिल में भी, नुमाईशों सी रही तबीयत,

न जाने कैसे कैसे दौर लेके, अब्र हैं गुज़रे मेरी गली से,
किसी भी मौसम न घर से निकले, बारिशों सी रही तबीयत,

हर जिंदगी का फलसफा देखिये, फलसफों को जिंदगानी,
कहती हर जीस्त बस ये ही, ख्वाहिशों सी रही तबीयत,

दीवारों से टिकी तन्हाई जब, तो रौशन और चराग हुआ,
महका आलम कुछ इस कदर, की आराईशों सी रही तबीयत...!!!

Saturday, July 18, 2009

Ghazal

Lafz lafz likhte ro raha hoon
Ghazal mein aansu piro raha hoon

Qalam mein khoon-e-jigar bhara hai
Ghazal bhi khoon se bhigo raha hoon

Mile hain mujh ko yeh zakham kyunkar
Ghamo ki aandhi mein jo raha hoon

Bas ab na chherro ke magan hoon
Ghazal mein zakhmon ko kho raha hoon

Sukoon pane ke waaste kuch
Ghazal mein khud ko dubo raha hoon

Na kuch bhi Preet zubani poucho
Ghazal mein har dukh samo raha hoon


Bookmark and Share

Tuesday, July 7, 2009

Mohabbat

Mujh say giley hain mujh pay bhrosa nahi usse,
Ye soch kar humne bhi to roka nahi usse,

Wo shaks kabhi chand sitaron se ye puchhe,
Hai kon si wo raat Jab hum ne socha nahi usse,

Alfaaz teer ban ke utarte rahe dil me,
Sunte rahe chup chap hi toka nahi usse,

Preet ye asool-e-wafa nahi mohabbat hai,
Hum Jaan to denge magar dhoka nahi usye....


Bookmark and Share

Ye Aur Baat Hai

Meri har ik ada mein chhupi thi meri tamanna,
Tum ne mehsoos na ki ye aur baat hai,

Maine har dam tere hi khwab dekhe,
Mujhe tabeer na mili ye aur baat hai,

Maine jab bhi tujhse baat karna chahi,
Mujhe alfaaz na mile ye aur baat hai,

Main meri tamanna ke samandar mein door tak nikla,
Mujhe sahil na mila ye aur baat hai,

Qudrat ne likha tha tujhko meri tamanna mein,
Meri kismat mein naa likha tha ye aur baat hai...


Bookmark and Share