Pages

Showing posts with label shikayat. Show all posts
Showing posts with label shikayat. Show all posts

Saturday, February 12, 2011

Tabiyat

Hui taskeen jab dard se, fir asai'shon si rahi tabiyat,
Seencha ashkon ne aankho ko aise, paimayi'shon si rahi tabiyat,

Sare'aam chand bola falak se, taaron se nahi koi shikayat,
Goonje alfaaz is dil mein bhi, numayi'shon si rahi tabiyat,

Na jane kaise kaise daur leke, abr hain guzre meri gali se,
Kisi bhi mausam na ghar se nikle, barishon si rahi tabiyat,

Har zindgi ka falsafa dekhiye, falsafon ki zindgani,
Kehti har zeest bas yahi, khwahishon si rahi tabiyat,

Deewaron se tiki tanhai jab, to raushan aur charaag hua,
Mehka aalam kuch is kadar, ki aarayi'shon si rahi tabiyat...!!!

**********

हुई तस्कीन जब दर्द से, फिर असाईशों सी रही तबीयत,
सींचा अश्कों ने आँखों को ऐसे, पैमाईशों सी रही तबीयत,

सरे आम बोला चाँद फलक से, तारों से नहीं कोई शिकायत,
गूंजे अलफ़ाज़ इस दिल में भी, नुमाईशों सी रही तबीयत,

न जाने कैसे कैसे दौर लेके, अब्र हैं गुज़रे मेरी गली से,
किसी भी मौसम न घर से निकले, बारिशों सी रही तबीयत,

हर जिंदगी का फलसफा देखिये, फलसफों को जिंदगानी,
कहती हर जीस्त बस ये ही, ख्वाहिशों सी रही तबीयत,

दीवारों से टिकी तन्हाई जब, तो रौशन और चराग हुआ,
महका आलम कुछ इस कदर, की आराईशों सी रही तबीयत...!!!

Tuesday, June 1, 2010

Ye Adayein Kyu? Ye Garoor Kya?

Ye jo be-rukhi hai baja nahi,
Ye adayein kyu? Ye garoor kya?
Ye guzarish kis liye is kadar,
Ye khafa khafa se hazoor kya?

Tujhe yaad karna mazak tha,
Tujhe bhool jana azaab hai,
Ye saza hai zurm-e-faraz ke,
Mere hafze ke kasoor kya?

Tere sath hai jo teri aana,
Mere sath mera naseeb hai,
Mujhe tujhse kaisi shikayatein?
Tujhe khud pe itna garoor hai,

Ye tumhara chehra kitab hai,
Isse parh raha hoon main warq warq,
Zara baat sada likha karo,
Ye muhawaron ki sitoor kya?

**********

ये जो बेरुखी है बजा नहीं,
ये अदाएं क्यू? ये गरूर क्या?
ये गुज़ारिश किस लिए इस कदर,
ये खफा खफा से हजूर क्या?

तुझे याद करना मजाक था,
तुझे भूल जाना अज़ाब है,
ये सजा है जुर्म-ए-फ़राज़ की,
मेरे हफ्ज़े के कसूर क्या?

तेरे साथ है जो तेरी आना,
मेरे साथ मेरा नसीब है,
मुझे तुझसे कैसी शिकायतें?
तुझे खुद पे इतना गरूर है,

ये तुम्हारा चेहरा किताब है,
इसे पढ़ रहा हूँ मैं वर्क वर्क,
ज़रा बात सादा लिखा करो,
ये मुहावरों की सितूर क्या?

Tuesday, December 8, 2009

Tanha Bana Diya

Sab se chhupa kar dard woh jo muskura diya,
Uss ki hansi ne to mujhko aaj rula diya,

Lahje se uth raha tha ik dard ka dhuan,
Chehra bata raha tha ke kuch ganwa diya,

Awaz mein thehrao tha ankhon mein nami thi,
Aur keh raha tha ke maine sab kuch bhula diya,

Jane kya usko logon se thi shikayatein,
tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya,

Khud bhi woh hum se bichad kar adhura sa ho gaya,
Mujh ko bhi ithe logon mein tanha bana diya...!!!

**********

सब से छुपा कर दर्द वो जो मुस्कुरा दिया,
उस की हंसी ने तो मुझको आज रुला दिया,

लेहजे से उठ रहा था इक दर्द का धुआं,
चेहरा बता रहा था के कुछ गंवा दिया,

आवाज में ठहराव था आंखो में नमी थी,
और कह रहा था के मैने सब कुछ भुला दिया,

जाने क्या उसको लोगों से थी शिकायतें,
तन्हाईयों के देश में खुद को बसा दिया,

खुद भी हमसे बिछड़ कर अधूरा सा हो गया,
मुझको भी इतने लोगों में तन्हा बना दिया...!!!

Saturday, November 14, 2009

Mujhko Mere Naam Se

Khaatir se ya lihaaz se main maan to gaya,
Jhoothi kasam se aap ka imaan to gaya,

Dil leke muft, kehte hai kuch kaam ka nahi,
Ulti Shikayat’ein rahi ahsaan to gaya,

Dekha hai butkade mein jo ae huzur kuch na kuch,
Imaan ki to ye hai imaan to gaya,

Darta hoon dekh kar dil-e-be-aarzoo ko main,
Sunsaan ghar ye kyu na ho mehmaan to gaya,

Jo naamabar se khush na hua, par hazaar shukar,
Mujhko mere naam se pehchaan to gaya,

Hosh-o-hawaas o tab-o-tavaan ‘Daag’ jo chuke,
Ab hum bhi jaane waale hain saaman to gaya…!!!