Pages

Showing posts with label Khoon. Show all posts
Showing posts with label Khoon. Show all posts

Saturday, August 28, 2010

Jo Mila Nahi So Mila Nahi

Mujhe roz-o-shab ki kitab mein,
Koi aisa harf na mil saka,

Jise misl-e-gul ka khitab doon,
Jise chandni ki si taab doon,

Jise dhoond kar jise khoj kar,
Rukh-e-asmaa pe saja bhi doon,

Mere Khoon-e-dil ki nigarshen,
Meri rooh tak ke fishaar bhi,

Yahan ilm-o-fun ki dukan par,
Bade saste damon se bik gaye,

Mujhe tod kar mujhe fod kar,
Mere doston ne jala diya,

Rah-e-zindgi ke ghubar mein,
Meri raakh tak ko uda diya,

Mujhe fir bhi koi gila nahi,
Jo mila nahi, so mila nahi...!!!

**********

मुझे रोज-ओ-शब् की किताब में,
कोई ऐसा हरफ ना मिल सका,

जिसे मिस्ल-ए-गुल का ख़िताब दूं,
जिसे चाँदनी की सी ताब दूं,

जिसे ढूंढ कर जिसे खोज कर,
रुख-ए-आस्मां पे सजा भी दूं,

मेरे खून-ए-दिल की निगारशें,
मेरी रूह तक के फिशार भी,

यहाँ इल्म-ओ-फन की दुकान पर,
बड़े सस्ते दामों से बिक गए,

मुझे तोड़ कर मुझे फोड़ कर,
मेरे दोस्तों ने जला दिया,

राह-ए-जिंदगी के गुबार में,
मेरी राख तक को उड़ा दिया,

मुझे फिर भी कोई गिला नहीं,
जो मिला नहीं, सो मिला नहीं...!!!

Saturday, July 18, 2009

Ghazal

Lafz lafz likhte ro raha hoon
Ghazal mein aansu piro raha hoon

Qalam mein khoon-e-jigar bhara hai
Ghazal bhi khoon se bhigo raha hoon

Mile hain mujh ko yeh zakham kyunkar
Ghamo ki aandhi mein jo raha hoon

Bas ab na chherro ke magan hoon
Ghazal mein zakhmon ko kho raha hoon

Sukoon pane ke waaste kuch
Ghazal mein khud ko dubo raha hoon

Na kuch bhi Preet zubani poucho
Ghazal mein har dukh samo raha hoon


Bookmark and Share