Pages

Sunday, May 3, 2009

Aankhain Bheeg Jati Hain

samandar main utarta hoon to aankhain bheeg jati hain
teri aankhon ko parhta hoon to aankhain bheeg jati hain

tumhara naam likhnay ki ijaazat chin gai jab se
koi bhi lafz likhtaa hoon to aankhain bheeg jati hain

teri yadoon ki khushboo khirkion main raqs karti hay
tere gham main sulagta hoon to aankhain bheeg jati hain

na jane hoo gaya hoon is qadar hasaas main kab se
kisi se baat kartaa hoon to aankhain bheeg jati hain

wo sab guzre howe lamhaat mujh koo yaad ate hain
tumhare khat jo parhta hoon to aankhain bheeg jati hain

main sara din bauhat masroof rehta hoon magar joon hi
qadam chaukhat pe rakhta hoon to aankhain bheeg jati hain

tere kooche se ab meraa taluq waajbi saa hay
magar jab bhi guzartaa hoon to aankhain bheeg jati hain


Bookmark and Share

No comments:

Post a Comment