Pages

Sunday, May 3, 2009

Mera Chand

Pura dukh aur aadha chand
Hijr ki shab aur aisa chand
Din main wehshat behl gae thi
Raat hoe aur nikla chand
Kis maqtal say guzra hoga
Itna sehma sehma chand
Yadoon ki aabad gali main
Ghoom raha hai tanha chand
Meri karwat par jag uthe
Neend ka kitna kacha chand
Mere moun ko kis hairat say
Dekh raha hai bhola chand
Itne ghane badal ke peeche
Kitna tanha hoga chand
Aansoo roke noor nahaye
Dil darya tun sehra chand
Itne roshan chehre per bhi
Sooraj ka hai saaya chand
Jab pani main chehra dekha
Tu nay kis ko socha chand
Bargad ki ek shaakh hata kar
Jane kis ko jhanka chand
Badal ke resham jhole main
Bhor same tak soya chand
Raat ke shaane par sar rakhe
Dekh raha hai sapna chand
Sookhe patton ke jhurmat par
Shabnam thi ya nanha chand
Haath hila kar rukhsat hoga
Uss ki soorat hijr ka chand
Sehra sehra bhatak raha hai
Apne ishq main sacha chand
Raat kay shayad aik baje hain
Sotaa hoga mera chand.....


Bookmark and Share

No comments:

Post a Comment