Pages

Sunday, May 10, 2009

Iraada Kar Liya

Hum ne fir barbaad hone ka iraada kar liya
Fir kisi dildar se milne ka waada kar liya

Hum ne dunia ko bhi barta, tujh se bhi nibhate rahe
Kis tarah se hum ne khud ko aadha kar liya

Hum ne tujh ko sochne mein ye kabhi socha nahi
Hum ne tujh ko sochna kitna zyada kar liya

Hum ne har zanzeer ko likha teri zulfon ka baal
Kissa-e-dard ko kis darze saada kar liya,

Hum ne abb tak housle se faasla naapa nahi
Tum ne kaise door tak chalne ka waada kar liya

Unn ke husn-e-naaz ka tha mashwara mar jaiye
Hum ne bhi fir der naa ki istafada kar liya

Safha-e-zeest ka har lafz tere naam tha
Jab tujhe hi likh na paye warq saada kar liya


Bookmark and Share

No comments:

Post a Comment