Pages

Sunday, May 3, 2009

Khwaab

Tu bata a dil-e- betaab, kahan aate hain,
Humko khush rehne ke aadaab kahan aate hain,

Main to yakmusht usse saunp doon sab-kuch lekin,
Ek muthi mein mere khwaab kahan aate hain,

Muddaton baad tujhe dekh ke dil bhar aaya,
Warna sehraon mein selaab kahan aate hain,

Meri bedaar nigahon mein agar bhuule se,
Neend aaye bhi to ab khwaab kahan aate hain,

Shiddat-e-dard hai ya kasrat-e-mai- noshi hai,
Hosh mein ab tere betaab kahan aate hain,

Hum kisi tarah tere dar pe thikana kar lein,
Hum faqiron ko ye aadaab kahan aate hain,

Sar-basar jin mein faqat teri jhalak milti thi,
Ab muyassar hamein woh khwaab kahan aate hain,


Bookmark and Share

No comments:

Post a Comment