Sach kahun mujhko e unwan bura lagta hai,
Zulm sahta hua Insan bura lagata hai !
Unki khidmat to bahut door bahu beton ko
Budhe maa bap ka farman bura lagta hai !
Ab jo bari hai unki to ham pareshan hai bahut,
Apni aane pe "Aaj ka insan" bura lagta hai !
Log sab bhagte firte hai masino ki tarah,
Ghari ke hath fansi jan bura lagta hai !
Is kadar ho gayi masruf-e-duniya apni,
Ek din thahre to mehman bura lagta hai !
Ghantiyan foot gayee rat din bajte bajte,
Maun baitha hua bhagwan bura lagta hai !
Dosti zazba hai insan ko jine ke liye,
Chup ho gar dost ki zuban bura lagta hai !
Jisko na eelma ho jine ka pyar karne ka,
Apni mahfil me o insan bura lagta hai !
Ham hai aadam ki nasl jaat ke insan sabhi,
Hamko ko to "Ram aur Rahman" bura lagta hai !
Mai nahi Tangdil na besaur hun ae dost,
kya karu dil se hun nadan bura lagta hai !
No comments:
Post a Comment