Har saans mein uska noor hai,
Par deed se kitna door hai,
Chalo chand se baat karein,
Wo kyon itna magroor hai,
Roz-o-shab pathhar sote,
Naqqash magar mazboor hai,
Jana khali hath hai sabko,
Zamane ka dastoor hai,
Daga kalam se nahin karenge,
Har saza humein manzoor hai,
Pata puchhti hai ruswai,
Naam jis ka mash'hoor hai,
Har balaa se hai wo baalaa,
Sar pe jahaan sindoor hai,
Dard wo jane kya zulmat ka,
Har pal jahaan pe noor hai,
Tum bhi so jao "Ahsaas",
Abhi shab zara makhmoor hai...!!!
By Suyash Ahsaas
**********
हर सांस में उसका नूर है,
पर दीद से कितना दूर है,
चलो चाँद से बात करें,
वो क्यों इतना मगरूर है,
रोज-ओ-शब् पत्थर सोते,
नक्काश मगर मजबूर है,
जाना खाली हाथ है सबको,
ज़माने का दस्तूर है,
दगा कलम से नहीं करेंगे,
हर सजा हमें मंज़ूर है,
पता पूछती है रुसवाई,
नाम जिस का मशहूर है,
हर बला से है वो बाला,
सर पे जहां सिन्दूर है,
दर्द वो जाने क्या ज़ुल्मत का,
हर पल जहां पे नूर है,
हर सांस में उसका नूर है,
पर दीद से कितना दूर है,
चलो चाँद से बात करें,
वो क्यों इतना मगरूर है,
रोज-ओ-शब् पत्थर सोते,
नक्काश मगर मजबूर है,
जाना खाली हाथ है सबको,
ज़माने का दस्तूर है,
दगा कलम से नहीं करेंगे,
हर सजा हमें मंज़ूर है,
पता पूछती है रुसवाई,
नाम जिस का मशहूर है,
हर बला से है वो बाला,
सर पे जहां सिन्दूर है,
दर्द वो जाने क्या ज़ुल्मत का,
हर पल जहां पे नूर है,
तुम भी सो जाओ "अहसास",
अभी शब् ज़रा मखमूर है...!!!
"सुयश अहसाह"
Showing posts with label Ruswai. Show all posts
Showing posts with label Ruswai. Show all posts
Tuesday, August 17, 2010
Wednesday, August 12, 2009
Mujhe Abb Dar Nahi Lagta
Mujhe abb dar nahi lagta,
Kisi ke door jane se,
Talluq toot jane se,
Kisi ke maan jane se,
Kisi ke rooth jane se,
Mujhe abb dar nahi lagta,
Kisi ko azmane se,
Kisi ke azmane se,
Kisi ko yad rakhne se,
Kisi ko bhool jane se,
Mujhe abb dar nahi lagta,
Kisi ko chhor dene se,
Kisi ke chhor jane se,
Na shama ko jalane se,
Na shama ko bujhane se,
Mujhe abb dar nahi lagta,
Akele muskrane se,
Kabhi aansu bahane se,
Na iss sare zamane se,
Haqeeqat se fasane se,
Mujhe abb dar nahi lagta,
Kisi ki ruswai se,
Kisi ki parchhai se,
Kisi ki bewafai se,
Kisi dukh intehai se,
Mujhe abb dar nahi lagta,
Na to is paar rehne se,
Na uss paar jane se,
Na apni zindgani se,
Na ik din mout aane se,
Mujhe Abb Dar Nahi Lagta....... .....!
Kisi ke door jane se,
Talluq toot jane se,
Kisi ke maan jane se,
Kisi ke rooth jane se,
Mujhe abb dar nahi lagta,
Kisi ko azmane se,
Kisi ke azmane se,
Kisi ko yad rakhne se,
Kisi ko bhool jane se,
Mujhe abb dar nahi lagta,
Kisi ko chhor dene se,
Kisi ke chhor jane se,
Na shama ko jalane se,
Na shama ko bujhane se,
Mujhe abb dar nahi lagta,
Akele muskrane se,
Kabhi aansu bahane se,
Na iss sare zamane se,
Haqeeqat se fasane se,
Mujhe abb dar nahi lagta,
Kisi ki ruswai se,
Kisi ki parchhai se,
Kisi ki bewafai se,
Kisi dukh intehai se,
Mujhe abb dar nahi lagta,
Na to is paar rehne se,
Na uss paar jane se,
Na apni zindgani se,
Na ik din mout aane se,
Mujhe Abb Dar Nahi Lagta....... .....!

Sunday, June 28, 2009
Lakeeren mita deta
Kahan mumkin tha main dil se teri yaad mita deta,
Bhala kaise main jeeta! agar tujh ko bhula deta,
Teri Ruswai ke darr se labon ko si liya warna,
Tere Shaher-e-Munafiq ki main buniyadein hila deta,
Kiya tark-e-wafa uss ne, hogi uss ki majburi,
Jise barson dua di thi, usse kya bad-dua deta,
Khabar hoti agar mujh ko, nahi hai tu muqaddar mein,
Usi lamhe main, hathon ki lakeeren mita deta.
Bhala kaise main jeeta! agar tujh ko bhula deta,
Teri Ruswai ke darr se labon ko si liya warna,
Tere Shaher-e-Munafiq ki main buniyadein hila deta,
Kiya tark-e-wafa uss ne, hogi uss ki majburi,
Jise barson dua di thi, usse kya bad-dua deta,
Khabar hoti agar mujh ko, nahi hai tu muqaddar mein,
Usi lamhe main, hathon ki lakeeren mita deta.

Subscribe to:
Posts (Atom)