Pages

Saturday, January 23, 2010

Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Apni marzi se juda tu bhi nahi main bhi nahi,
Shayad ab ke bewafa tu bhi nahi main bhi nahi,

Dekhna hum ek din gard-e-safar ho jayenge,
Raston se ashana tu bhi nahi main bhi nahi,

Gardish-e-halaat se bas kat gaye hain raste,
Qabil-e-qaid-o-saza tu bhi nahi main bhi nahi,

Kya khabar thi is qadar na’ashana ho jayenge,
Aaj kal pehchanta tu bhi nahi main bhi nahi,

Faaslon se bhi guzarna fir zara sa dekhna,
Aisa lagta hai khafa tu bhi nahi main bhi nahi,

Ek duje ki buhat tareef karna Jabaja,
Maan le dil ka bura tu bhi nahi main bhi nahi...!!!

**********

अपनी मर्ज़ी से जुदा तू भी नहीं मैं भी नहीं,
शायद अब के बेवफा तू भी नहीं मैं भी नहीं,

देखना हम एक दिन गर्द-ए-सफ़र हो जायेंगे,
रास्तों से आशना तू भी नहीं मैं भी नहीं,

गर्दिश-ए-हालात से बस कट गए हैं रास्ते
काबिल-ए-क़ैद-ओ-सजा तू भी नहीं मैं भी नहीं,

क्या खबर थी इस कदर ना'आशना हो जायेंगे,
आज कल पहचानता तू भी नहीं मैं भी नहीं,

फांसलों से भी गुज़रना फिर ज़रा सा देखना,
ऐसा लगता है खफा तू भी नहीं मैं भी नहीं,

एक दूजे की बहुत तारीफ करना,
मान ले दिल का बुरा तू भी नहीं मैं भी नहीं...!!!

No comments:

Post a Comment