Pages

Saturday, August 14, 2010

Main Haqeeqat Hoon

Main haqeeqat hoon, samjhte hain wo afsana mujhe,
Khud jalte hain, bana kar apna parwana mujhe,

Gardish-e-dauran se keh do, hosh ki batein kare,
Gham ke toofano se bhi aata hai takrana mujhe,

Un se un ki bazm mein itna hi keh ke uth gaya,
Raunqein tum ko mubarak, aur veerana mujhe,

Jane kya aadmi tha, na-ashna lagta tha wo,
Kar gaya sare shanasa'on se begana mujhe,

Aise chhup chhup kar kahan tak zahmat-e-jalwa-gari,
Hashar jo bhi ho, nazar aa be-hijaab'ana mujhe,

Meri tark-e-maykashi par, meri har tauba ke bad,
Ehtiramaan lene aaya, meer-e-maykhana mujhe,

Har naye saaki ne uff! hasb-e-riwayat hi diya,
Mere hi khoon-e-jigar se bhar ke paimana mujhe,

Dekh kar is dil ki thandi aag mein jalte huye,
Ho gaya rukhsat dua'en de ke parwana mujhe...!!!

**********

मैं हकीकत हूँ, समझते है वो अफसाना मुझे,
खुद जलते हैं बना कर अपना परवाना मुझे,

गर्दश-ए-दौरां से कह दो, होश की बातें करे,
गम के तूफानों से भी आता है टकराना मुझे,

उन् से उन् की बज़्म में इतना ही कह के उठ गया,
रौनकें तुम को मुबारक, और वीराना मुझे,

जाने क्या आदमी था, ना-आशना लगता था वो,
कर गया सारे शनासा'ओं से बेगाना मुझे,

ऐसे छुप-छुप कर कहाँ तक ज़हमत-ए-जलवा-गरी,
हश्र जो भी हो, नज़र आ बे-हिजाब'आना मुझे,

मेरी तर्क-ए-मयकशी पर, मेरी हर तौबा के बाद,
एह्तिर्मान लेने आया, मीर-ए-मयखाना मुझे,

हर नए साकी ने उफ़! हस्ब-ए-रिवायत ही दिया,
मेरे ही खून-ए-जिगर से भर के पैमाना मुझे,

देख कर इस दिल की ठंडी आग में जलते हुए,
हो गया रुखसत दुआएं दे के परवाना मुझे...!!!

No comments:

Post a Comment