Pages

Monday, May 25, 2009

Tere Ishq Mein

Woh samaa tha meri duaon ka,
Usse kis ne apna bana liya

Meri aankh kis ne ujaar di
Mera khwab kis ne chura liya

Tujhe kya bataein ae dil-e-nasheen
Tere ishq mein teri yaad mein

Kabhi guftgu rahi phool se
Kabhi chand chhat pe bula liya

Mujhe pehle pehal jo dekh kar
Tera haal tha mujhe yad hai

Kabhi jal gayi teri rotian
Kabhi hath tune jala liya

Mere dushmano ki nazar mein bhi
Mera kad bada hi raha sada

Meri maan ke dil ki duaon ne
Mujhe zillato se bacha liya



Bookmark and Share

Mera Zikr Na Karna

Dukh Dard ke maaro se mera zikr na karna
Ghar jao to yaaro se mera zikr na karna

Wo zabt na kar payenge aankho ke samandar
Tum rah guzaro se mera zikr na karna

Shayad ye andhere hi mujhe raah dikhayein
Abb chand sitaro se mera zikr na karna

Wo meri kahani ko galat rang na de dein
Afsana nigaro se mera zikr na karna

Le jayenge gehrai me tum ko bhi baha kar
Dariya ke kinaro se mera zikr na karna

Woh shakhs mile to usse har bat batana
Tum sirf isharo se mera zikr na karna



Bookmark and Share

Wednesday, May 20, 2009

Mujhe Dukhra Sunana Tha

Mera Maksad Bithana Tha
Usse Jane Ki Jaldi Thi Mujhe Dukhra Sunana Tha

Nahi Tha Waqt Us Ke Pass Ke Sunta Dastan Meri
Bada Lamba Fasana Tha

Usse Jane Ki Jaldi Thi Mujhe Dukhra Sunana Tha

Badi Muddat Ki Khwahish Thi Magar Pyasi Rahi Yaro
Gale UsKo Lagana Tha

Usse Jane Ki Jaldi Thi Mujhe Dukhra Sunana Tha

Nahi Thehra Wo Ek Lamha Jo Ratein Thehar Jata Tha
Talluq To Purana Tha

Usse Jane Ki Jaldi Thi Mujhe Dukhra Sunana Tha

Main 'Preet' Rokta Kaise Ke Rukna Tha Kahan Us Ne
Usse Har Haal Jana Tha

Usse Jane Ki Jaldi Thi Mujhe Dukhra Sunana Tha


Bookmark and Share

Sunday, May 17, 2009

Bura Lagta Hai

Sach kahun mujhko e unwan bura lagta hai,
Zulm sahta hua Insan bura lagata hai !

Unki khidmat to bahut door bahu beton ko
Budhe maa bap ka farman bura lagta hai !

Ab jo bari hai unki to ham pareshan hai bahut,
Apni aane pe "Aaj ka insan" bura lagta hai !

Log sab bhagte firte hai masino ki tarah,
Ghari ke hath fansi jan bura lagta hai !

Is kadar ho gayi masruf-e-duniya apni,
Ek din thahre to mehman bura lagta hai !

Ghantiyan foot gayee rat din bajte bajte,
Maun baitha hua bhagwan bura lagta hai !

Dosti zazba hai insan ko jine ke liye,
Chup ho gar dost ki zuban bura lagta hai !

Jisko na eelma ho jine ka pyar karne ka,
Apni mahfil me o insan bura lagta hai !

Ham hai aadam ki nasl jaat ke insan sabhi,
Hamko ko to "Ram aur Rahman" bura lagta hai !

Mai nahi Tangdil na besaur hun ae dost,
kya karu dil se hun nadan bura lagta hai !


Bookmark and Share

Saturday, May 16, 2009

Mujhe aur kahin le chal saanwal!!!!

Jahan raat kabhi bhi soyi na ho
Jahan subah kisi pe royi na ho
Jahan hijr ne wehshat boyi na ho
Jahan koi kisi ki khoyi na ho
Mujhe aur kahin le chal saanwal!!!!

Jahan shehar hon saare virane
Jahan log sabhi hon begane
Jahan sab ke sab hon deewane
Jahan koi hame na pehchane
Mujhe aur kahin le chal saanwal!!!!

Jahan nafrat dil mein bas na sake
Jahan koi kisi ko dass na sake
Jahan koi kisi pe hans na sake
Jahan koi bhi gunjhal kas na sake
Mujhe aur kahin le chal saanwal!!!!

Jahan dard kisi ko raas na ho
Jahan koi malool udaas na ho
Jahan zulmat ki boo paas na ho
Jahan tu bhi zyada paas na ho
Mujhe aur kahin le chal saanwal!!!!


Bookmark and Share

Kahan Hote Ho

Hijr mein kyo rulate ho, kahan hote ho
Laut kar kyo nahi aate ho kahan hote ho

Yaad aati hai akele mein, tumhari neenden
Kis tarah khud ko sulate ho, kahan hote ho

Mujh se bichhre ho to mehboob-e-nazar ho kiske
Aaj kal kis ko manate ho, kahan hote ho

Shab-e-tanhai mein aksar ye khayal aata hai
Apne dukh kis ko sunate ho, kahan hote ho

Shehar ke log bhi karte hai sawaal aksar
Abb bahut kam nazar aate ho, kahan hote ho


Bookmark and Share

Sunday, May 10, 2009

Iraada Kar Liya

Hum ne fir barbaad hone ka iraada kar liya
Fir kisi dildar se milne ka waada kar liya

Hum ne dunia ko bhi barta, tujh se bhi nibhate rahe
Kis tarah se hum ne khud ko aadha kar liya

Hum ne tujh ko sochne mein ye kabhi socha nahi
Hum ne tujh ko sochna kitna zyada kar liya

Hum ne har zanzeer ko likha teri zulfon ka baal
Kissa-e-dard ko kis darze saada kar liya,

Hum ne abb tak housle se faasla naapa nahi
Tum ne kaise door tak chalne ka waada kar liya

Unn ke husn-e-naaz ka tha mashwara mar jaiye
Hum ne bhi fir der naa ki istafada kar liya

Safha-e-zeest ka har lafz tere naam tha
Jab tujhe hi likh na paye warq saada kar liya


Bookmark and Share

Sunday, May 3, 2009

Zamana

Ye jaat firkey ka to bas bahana tha
usse to yun bhi mujhe chhor jana tha

hum us ke ek ghar ko apna samjhe
lekin uska to har mor par ashiana tha

ye uss ka dosh nahi wo mazboor tha
shayad uski fitrat me hi dil dukhana tha

mujh ko talab thi bas ussi ki chahat ki
aur uski chahat hi sara zamana tha



Bookmark and Share

Sitare

Jo teri najar se gujar jaya karte hai,
woh Sitare aksar toot jaya karte hai,
Kuch log Dard ko Bayaan nahi karte,
Bus chup chap bikhar jaya karte hai....


Bookmark and Share

Aye Khuda

Dil k angan main chahat ka swera kar day
Ay KHUDA mujhe us ka ussay mera kar day

Ek bar to gira husan apne dewanay per
kuch sharma aur phir samne chehra kar day

Ya tmana koi bhi sar-e-sham jagaya na karo
Ya merey jazboon k samadar ko sehra kar day

Teri tasawar ki shabiha ko pehchan loon main
Is husan k naqshoon ko zara gehra kar day

Chalo basa lein dunia nai ek dujay mein
Aa meri rooh pay apni zat ka pehra kar day


Bookmark and Share

Sar-E-Raah

Kabhi yun jo ho kisi din agar
Kabhi tu mujhey sar-e-raah miley

Mein hazaar lamhon ko khainch kar
Yeh jo chalta waqt hai baandh doon

Yeh jo gardishen hein zameen ki
Usi ik lamhey pe ruki rahain

Mein taka karoon tujhey jazb se
Yunhi pyar se yunhi ishq se
Teri her adaa ko samait loon

Mein hisaar-e-jaan mein sajaa rakhon
Na tu keh sakey , na mein keh sakon

Tu jo paas ho to mein jee sakon
Tu jo door ho na jiya karoon


Kabhi yun jo ho kisi din agar
Merey humsafar tu jo na miley
Mein hazaar dharkanon ko khainch kar
Ye jo chalta dil hai baandh doon

Ye jo silsiley hein meri saans ke
Teri doori mein hi haar doon

Tu jo paas ho to mein jee sakoon
Tu jo door ho , na jiya karoon

Kabhi yun jo ho kisi din agar
Merey hum safar tu jo na miley…!


Bookmark and Share

Gunahgaar

Ruth gya hai mujhko manane waala
Ab koi nahi naaz mera uthaane wala

Per jaane kya sonchta hai Yeh khula darwaaza
Shayad rasta bhool gaya, aaane waaala

Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,

Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,

Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,

Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi..


Bookmark and Share

Koi Milta Nahi

Koi milta hi nahin humse hamara ban kar,
Tum mile bhi to bohut duur kinara ban kar,

Har aik ummid nigahon se chhalak jaati hai,
Unka har lafz aankhon se sharara ban kar,

Aur sab toot gayin cheezen khilono ki tarha,
Ek yaaqin saath mein rehta hai sahara ban kar,

Tum rahoge is chhoti si zameen tak mehdud,
Hum to chamkeinge aik roaz sitaraa bann kar,


Bookmark and Share

Kya Baat Hai

kitabon ke panno ko palat kar sochta hu,
yu palat jaye zindagi to kya baat hai,

khwabon main roj milta hai jo,
haqiqat main aaye to kya baat hai,

kuch matlab k liye dhundte hai mujhe,
bina matlab aaye to kya baat hai,

katal kar ke to sab le jayenge dil mera,
koi baaton se le jaye to kya baat hai,

jo sharifon ki sharafat main baat na ho,
wo ek sharabi kah jaye to kya baat hai,

aapne rahne tak to khushi dunga sabko,
jo kisi ko meri mout pe khushi mil jaye to kya baat hai.


Bookmark and Share

Mera Chand

Pura dukh aur aadha chand
Hijr ki shab aur aisa chand
Din main wehshat behl gae thi
Raat hoe aur nikla chand
Kis maqtal say guzra hoga
Itna sehma sehma chand
Yadoon ki aabad gali main
Ghoom raha hai tanha chand
Meri karwat par jag uthe
Neend ka kitna kacha chand
Mere moun ko kis hairat say
Dekh raha hai bhola chand
Itne ghane badal ke peeche
Kitna tanha hoga chand
Aansoo roke noor nahaye
Dil darya tun sehra chand
Itne roshan chehre per bhi
Sooraj ka hai saaya chand
Jab pani main chehra dekha
Tu nay kis ko socha chand
Bargad ki ek shaakh hata kar
Jane kis ko jhanka chand
Badal ke resham jhole main
Bhor same tak soya chand
Raat ke shaane par sar rakhe
Dekh raha hai sapna chand
Sookhe patton ke jhurmat par
Shabnam thi ya nanha chand
Haath hila kar rukhsat hoga
Uss ki soorat hijr ka chand
Sehra sehra bhatak raha hai
Apne ishq main sacha chand
Raat kay shayad aik baje hain
Sotaa hoga mera chand.....


Bookmark and Share

Zulfaan Dee Chhavein Behen De

Pall ku mainu apne kol behen de,
Zindgi da dard kujh te sehen de,

Poonjh na tun mere hanjhu rehen de,
Veh rahe ne jis taran eh vehen de,

Kar lavaan didaar apne yaar daa,
Aapne mukhde ton parda lehen de,

Sunn liya sara fasana sunn liya,
Rehen de ithay kahani rehen de,

Sabar apne ishaq da main parkh lavaan,
Husan da har zulam mainu sehen de,

Jis de chhavein beh liya main dou ghadi,
Patt sabh jhulse gaye uss tehen de,

Dou ghadi tan kar lavaan hun main vee chain,
Dou ghadi zulfaan dee chhavein behen de,


Bookmark and Share

Anjaam

Khuda jaane hamein yeh log kya kya naam dete hain,
Magar ham inn ke badle mein inhein aaraam dete hain,

Hamaare paas aa ke baitho hamaari zulaf se khelo,
Tumhaari ungliyon ko khuubsoorat kaam dete hain,

Who honge aur jo bass talkhiyaan undeilte honge,
Labon ke maikade se hum tou sheeree jaam dete hain,

Hameshaan kuchh na kuchh dete hee rehte hain,tumhein hum tou,
Suhaani subaah dete hain rangeelee shaam dete hain,

Yahi hai khalak kee khiddmat,yahi apni ibaadat hai,
Ke ham magmoom dil ko pyaar kaa paigaam dete hain,

Khuda kaa naam le kar thaa kiyaa aagaaz mehfil ka,
Tumhara naam le kar abb issay anjaam dete hain,


Bookmark and Share

Juda Ho Jayein

Iss se pahale ke bevafaa ho jayein,
Kyon na ai dost ham judaa ho jayein,

Tuu bhi heere se bann gayaa patthar,
Ham bhi kal kya se kya ho jayein,

Ham bhi majaburiyon kaa uzr karein,
Aur kahin aur mubtalaa ho jaayein,

Ishq bhi khel hai nasiibon kaa,
Khaak ho jaayein kimiyaa ho jaayein,

Abb ke gar tuu mile to ham tujh se,
Aise liptein teri qabaa ho jaayein,

Bandgii ham ne chhod dii hai faraz,
Kyaa karein log jab Khudaa ho jaayein,


Bookmark and Share

Baat Adhurii

Khud ko parhta hu, chhod deta hu,
Ek varqa roz mod deta hu,

Iss qadar zakhm hain nigahon mein,
Roz ek aaina tod deta hu,

Main pujari baraste phulon ka,
Chhuu ke shakhon ko chhod deta hu,

Kaasa-e-shab mein khoon suraj ka,
Qatra qatra nichod deta hu,

Kaanpte honth bhigti palkein,
Baat adhuurii hii chhod detaa hu,


Bookmark and Share

Khwaab

Tu bata a dil-e- betaab, kahan aate hain,
Humko khush rehne ke aadaab kahan aate hain,

Main to yakmusht usse saunp doon sab-kuch lekin,
Ek muthi mein mere khwaab kahan aate hain,

Muddaton baad tujhe dekh ke dil bhar aaya,
Warna sehraon mein selaab kahan aate hain,

Meri bedaar nigahon mein agar bhuule se,
Neend aaye bhi to ab khwaab kahan aate hain,

Shiddat-e-dard hai ya kasrat-e-mai- noshi hai,
Hosh mein ab tere betaab kahan aate hain,

Hum kisi tarah tere dar pe thikana kar lein,
Hum faqiron ko ye aadaab kahan aate hain,

Sar-basar jin mein faqat teri jhalak milti thi,
Ab muyassar hamein woh khwaab kahan aate hain,


Bookmark and Share

Tere Shehar Chon

Mil gya jis nu sahara dost tere shehar chon,
Turr kiven janda vechara dost tere shehar chon,

Apne dilbar da ghar barbaad hoya vekh ke,
Tur gya ro ro nakara dost tere shehar chon,

Zindgi thodi see lekin lutaf changa de gayi,
Lai liya rajj ke nazaara dost tere shehar chon,

Mastiyan ch beet jaavegi meri hun zindgi,
Mil gya aisa hulara dost tere shehar chon,

Sahmbh ke jis nu main rakhda san oh dil vee lutt liya,
Tur gya kar ke kinara dost tere shehar chon,

Sadd gya jeendaa hee tere ishq dee agni ch main,
Udd gya bann ke sharara dost tere shehar chon,

Maut laini vee nahi saukhi sifaarish ton binaa,
Zehar na miliya udhara dost tere shehar chon...!!!

**********

ਮਿਲ ਗਯਾ ਜਿਸ ਨੂਂ ਸਹਾਰਾ ਦੋਸਤ ਤੇਰੇ ਸ਼ਹਰ ਚੋਂ,
ਤੁਰ ਕਿਵੇਂ ਜਾੰਦਾ ਵਿਚਾਰਾ ਦੋਸਤ ਤੇਰੇ ਸ਼ਹਰ ਚੋਂ,

ਅਪਨੇ ਦਿਲਬਰ ਦਾ ਘਰ ਬਰਬਾਦ ਹੋਯਾ ਵੇਖ ਕੇ,
ਤੁਰ ਗਯਾ ਰੋ ਰੋ ਨਕਾਰਾ ਦੋਸਤ ਤੇਰੇ ਸ਼ਹਰ ਚੋਂ,

ਜ਼ਿੰਦਗੀ ਥੋਰੀ ਸੀ ਲੇਕਿਨ ਲੁਤਫ ਚੰਗਾ ਦੇ ਗਯੀ,
ਲੈ ਲਯਾ ਰੱਜ ਕੇ ਨਜ਼ਾਰਾ ਦੋਸਤ ਤੇਰੇ ਸ਼ਹਰ ਚੋਂ,

ਮਸਤਿਯਾਂ ਚ ਬੀਤ ਜਾਵੇਗੀ ਮੇਰੀ ਹੁਨ ਜ਼ਿੰਦਗੀ,
ਮਿਲ ਗਯਾ ਐਸਾ ਹੁਲਾਰਾ ਦੋਸਤ ਤੇਰੇ ਸ਼ਹਰ ਚੋਂ,

ਸਾੰਭ ਕੇ ਜਿਸ ਨੂਂ ਰਖਦਾ ਸਾਂ ਓਹ ਦਿਲ ਵੀ ਲੁੱਟ ਗਯਾ,
ਤੁਰ ਗਯਾ ਕਰ ਕੇ ਕਿਨਾਰਾ ਦੋਸਤ ਤੇਰੇ ਸ਼ਹਰ ਚੋਂ,

ਸੜ ਗਯਾ ਜਿੰਦਾ ਹੀ ਤੇਰੇ ਇਸ਼ਕ ਦਿ ਅਗਨਿ ਚ ਮੈਂ,
ਉੱਡ ਗਯਾ ਬਨ ਕੇ ਸ਼ਰਾਰਾ ਦੋਸਤ ਤੇਰੇ ਸ਼ਹਰ ਚੋਂ,

ਮੌਤ ਲੈਨੀ ਵੀ ਨਹੀ ਸੌਖੀ ਸਿਫਾਰਿਸ਼ ਤੋਂ ਬਿਨਾ,
ਜ਼ਹਰ ਨਾ ਮਿਲ੍ਯਾ ਉਧਰਾ ਦੋਸਤ ਤੇਰੇ ਸ਼ਹਰ ਚੋਂ...!!!



Bookmark and Share

Meharban

Agar wo meherban hota
To meri aankh men na Jhilmilati ye nami hoti
Na mere dil ki waadi men Khizzan ka karwan rukta
Agr wo meherban hota Meri benoor aankhon men Sitarey qaid kr deta
Meri zakhmi hatheli per Wo koi phool rakh deta
Mere haathon ko apne Hathon men le kr wo ye kehta
Mohabbat roshni hai Rang hai khushbu hai Sitaara hai
Qasem mujhko mohabbat ki Mujhe tu subse pyara hai
Mgr esa wo tub kehta Agr wo meherban hota....!!!!


Bookmark and Share

Intezar

Wo pyar bhi karta hai or izhar bhi nahi karta
Jo puchhle koi uss se to iqrar bhi nahi karta
Wo aisa saada dil hai ke mujhse milne ki duaen bhi mange
Jab samne aa jaun to deedar bhi nahi karta

Agar uss se door jaun main tou saans ruk jae uski
Or koi maang le mujhe uss se tou inkaar bhi nahi karta
Apne qareeb aane se wo rok deta hai mujhko
Aur raah me haaye koi deewar bhi nahi karta

Mere dil ke darwaje par woh dastak bhi deta hai...
Aur woh darwaja Khul jaane ka intezar bhi nahi karta


Bookmark and Share

Yaad Dilate Rehna

Koi na aaye magar fir bhi bulate rehna
Tum pe lazim hai ke awaaz lagate rehna

Tergi jitni zyada ho koi gham na karo
Apne hisse ka magar deep jalate rehna

Shehar walon ki yehi baat buri lagti hai
Dil mile ya na mile Hath milate rehna

Rail ki seeti mujhe yaad dilati hai sada
Waqt-e-rukhsat wo tera haath hilate rehna

Main bhi shamil hoon jeete hue insanon me
Bhool jau to mujhe yaad dilate rehna


Bookmark and Share

Malal Rakhta Tha

Labon pe harf-e koi sawal rakhta tha
Kabhi wo zabt main itna kamal rakhta tha

Khabar kya thi mujhe hi bhool jayega
Ek ek cheez jo meri sambhal rakhta tha

Bicharte waqt tu bazahir kuch na bola
Magar nigah me sau sau sawal rakhta tha

Wo muskura kar bahut der chup raha
Hansee ki Ott me koi malal rakhta tha


Bookmark and Share

Udaas Mat Raha Karo

Jalte diye ke saamne
Jhonka hawaa ka dekh kar
Tum kyu udaas ho gaye
Mausam khiza ka dekh kar

Mausamo ke rog ka
Dard mat sahaa karo
Udaas mat raha karo

Ye dard hain hayaat ke
Kuch rang kaynaat ke
Kuch dukh ki tez barishen
Kuch phool hai nishat ke

Tum phool bas chuna karo
Udaas mat raha karo


Bookmark and Share

Rona Bhi Chahe

Rona bhi jo chahen to wo rone nahi deta
Wo shaks to palken bhi bhigone nahi deta

Wo roz rulata hai hame khwab me aakar
Sona bhi jo chahen to sone nahi deta,

Ye kis ke ishare pe umad aye hain baadal
Hai kaun jo barsat bhi hone nahi deta

Aata hai khayalon me mere kaun ye aksar,
Jo muzhko kisi aur ka hone nahi deta,

Ik shakhs hai aisa meri basti me abhi tak
Jo bojh akele muzhe done nahi deta,

Mai hoon ke bahaata hoon teri yaad me aansoo,
Tu hai ke ashkon ko pirone nahi deta,

Wo chehra ajab hai jise paakar mai abhi tak,
Khona bhi chahoon to khone nahi deta

Thame hue lahron kee husn-e-baag koi too,
Sahil ko samandar me doobone nahi deta..


Bookmark and Share

Aankhain Bheeg Jati Hain

samandar main utarta hoon to aankhain bheeg jati hain
teri aankhon ko parhta hoon to aankhain bheeg jati hain

tumhara naam likhnay ki ijaazat chin gai jab se
koi bhi lafz likhtaa hoon to aankhain bheeg jati hain

teri yadoon ki khushboo khirkion main raqs karti hay
tere gham main sulagta hoon to aankhain bheeg jati hain

na jane hoo gaya hoon is qadar hasaas main kab se
kisi se baat kartaa hoon to aankhain bheeg jati hain

wo sab guzre howe lamhaat mujh koo yaad ate hain
tumhare khat jo parhta hoon to aankhain bheeg jati hain

main sara din bauhat masroof rehta hoon magar joon hi
qadam chaukhat pe rakhta hoon to aankhain bheeg jati hain

tere kooche se ab meraa taluq waajbi saa hay
magar jab bhi guzartaa hoon to aankhain bheeg jati hain


Bookmark and Share

Apne Hathon Se

Apne Haatho Se Yun Chehre Ko Chupate Q Ho,
Mujh Se Sharmate Ho To Saamne Atay Q Ho...

Tum Kabhi Mere Tarha Kar Bhi Lo Ikraar-e-Wafa,
Pyar Karte Ho To Phir Pyar Chupate Q Ho...

Ashq Aankho Mein Mere Dekh K Rote Q Ho,
Dil Bhar Aata Hai To Phir Dil Ko Dukhate Q Ho...

In Se Vaabasta Hai Jab Mera Muqadar Phir ....!!!
Mere Shano Se Ye Zulf Hatatay Q Ho......!!

Roz Mar Mar K Mujhe Jeenay Ko Kehte Q Ho,
Milne Aatay Ho To Phir Laut K Jatay Q Ho...

Apne Haatho Se Yun Chehre Ko Chupate Q Ho,
Mujh Se Sharmate Ho To Saamne Atay Q Ho...


Bookmark and Share

Phir Chale Jana

Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chalay jana
Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chalay jana

Jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay may
Usay puri tarha se tum bhulado phir chalay jana

Ye saray pair poday tum bin kai raat jagay hai
Tum aakay ek baar inko sulado phir chalay jana

Kisi ko chahne ka aur kisi se chahay janay ka
Jo hai ahsaas tum usko bhulado phir chalay jana

Bus ik murda hansi se apnay ashko ko chupanay ka
Jo fun aata hai tum ko, wo sikhado phir chalay jana

Wo jo ik lafz-e-ulfat hai, juda hai apnay maani se
Bus in alfaz-o-mani ko milado phir chalay jana

Jo kehte kahte ruk gaye, un sari bato ki
Sama'at ko talab hai wo suna do phir chalay jana

Na janay q hai lakin dekhne ki tum ko aadat hai
Meri ye be-waja aadat chura do phir chalay jana ..


Bookmark and Share

Rishta

Bus Aik Baar Samajh Lo Yehi Ghaneemat Hai.
Main Wo Naheen Jise Roz Azmaoo Ge
Bus Aik Do Hi Taluq Bohat Hain Jeene Ke
Bohat Se Rishte Banao Ge To Toot Jao Ge...!!!


Bookmark and Share

Nigah

yeh ajeeb khel hai ishq ka
maine aap dekha ye moajza
wo jo lafz mere guman mein the
wo teri zaban pe aa gaye
wo jo geet tum ne suna nahi
meri umar bhar ka riaz tha
mere dard ki thee wo daastaa
jise tum hassi main udaa gaye
meri umar se na simat sakey
mere dil main itne sawal the
tere pass jitne jawab the
teri ik nigah main aa gaye


Bookmark and Share

Dua

WIDA HOTE KAHA THA OSNE
MUJHE DUAOON MAIN YAAD RAKHNA
WO BEKHABAR HAI MERI DUAA MAIN
SIVAYE OSKE KOI NAHI HAI


Bookmark and Share

Aadat

Gham ko chupaanay ki aadat si hai mujhe...!
Khud ko sataane ki aadat si hai mujhe...!

Jaan le na koi haal-e-dil is dar se...!
Bewajha muskurane ki aadat si hai mujhe...!

Yoon to tere dar se namuraad lauta hoon...!
Qismat ko aazmaane ki aadat si hai mujhe...!

Mein jantaa hoon ke tu laut kar na ayegaa...!
Fir bhi dil ko behlaane ki aadat si hai mujhe...!

Chaand gham na kar mein bhi tera saathi hoon...!
Ke ratjagae manane ki aadat si hai mujhe...!

kabhi to woh bhi sochein ge acha nahi hua...!
Khush fehmiyan jagane ki aadat si hai mujhe...!


Bookmark and Share

Chupke Chupke Ro Lena

Jab Seena Gham Se Bojhal Ho Aur Yaad Kissi Ki Aati Ho
Tab Kamre Mein Band Ho Jana Aur Chhup ke Chhup ke Ro Lena

Jab Aankhein Bheegi Hon Jaayein Aur yaad Mein Meri Bhar Aaayen
Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena Aur Chhup ke Chhup ke Ro lena

Jab Palkein Karab Se Mondi Hon Aur sab Samjhein Tum Sote Ho
Tab Muh Par Takiya Rakh Lena Aur Chhup ke chhup ke Ro Lena

Yeh Duniya Zaalim Duniya Hai, Yeh baat Buhat Hi Faelegi
Tum Sab Ke Saamne Chup Rehna Aur Chhup ke chhup ke Ro Lena

Jab Baarish Chehra Dho Daale Aur Ashk Bhi Boondein Lagti Hon
Who Lamha Har giz Mat Khona Aur Chhup ke Chhup ke Ro Lena


Bookmark and Share