Pages

Saturday, November 20, 2010

Choome Gaye Kabhi Labon Rukhsar Ki Tarah

Hota nahi hai pyar bhi ab pyar ki tarah,
Karne lage hain log ye vyopaar ki tarah,

Sukhe gulab, adhjale tasveer aur khutoot,
Choome gaye kabhi lab-o-rukhsar ki tarah,

Insaaf ki dunia hai munsif dukandaar,
Bikne laga hai jao kharidar ki tarah,

Mandir hai door gam nahi masjid to hai kareeb,
Nemat luta raha hai wo dildar ki tarah,

Rishta gulon se hai na gulishtan se rabt hai,
Gulshan mein jee rahe hain magar khar ki tarah,

Yoon to dil-o-dimag mein aaye bahut khayal,
Utre vark pe chand hi ash'aar ki tarah,

Maani badal gaye yahan neki ke jab 'Raqeeb'
Hum bhi khade hain saf mein gunahgaar ki tarah,

Satish Shukla 'Raqeeb'

**********

होता नहीं है प्यार भी अब प्यार की तरह,
करने लगे हैं लोग ये ब्योपार की तरह,

सूखे गुलाब, अधजले तस्वीर और ख़ुतूत,
चूमे गए कभी लबो रुखसार की तरह,

इन्साफ की दुकान है मुंसिफ दुकानदार,
बिकने लगा है जाओ खरीदार की तरह,

मन्दिर है दूर ग़म नहीं मस्जिद तो है क़रीब,
नेमत लुटा रहा है वो दिलदार की तरह,

रिश्ता गुलों से है न गुलिश्तां से रब्त है,
गुलशन में जी रहे हैं मगर ख़ार की तरह,

यूं तो दिलो दिमाग़ में आए बहुत ख़याल,
उतरे वरक़ पे चंद ही अशआर की तरह,

मानी बदल गए यहाँ नेकी के जब 'रक़ीब',
हम भी खड़े हैं सफ़ में गुनहगार की तरह,

सतीश शुक्ला 'रकीब'

No comments:

Post a Comment