Pages

Sunday, June 28, 2009

Sawal kitna ajeeb sa tha

Nazar me zulat badan main thandak
Jamal kitna ajeeb sa tha,

Main us ki chahat me ghar se nilka to
Haal kitna ajeeb sa tha,

Na mainne usse khat likhe na usne meri panah chahi,
Dono ko apni be khudi pe malal kitna ajeeb sa tha,

Wo apni raton me chand dekhe, main apni raton main us ko sochun,
Badalte lamhon me soch ka yeh, visaal kitna ajeeb sa tha,

Safar akele hi kaat lo ge, maine pochha to ro diya wo,
Jawab kitna ajeeb sa tha....
Sawal kitna ajeeb sa tha....


Bookmark and Share

Woh kehti hai!

Woh kehti hai!
Batao, Be-sabab kyu rooth jaate ho?

Main kehta hun!
Zara mujh ko manao, acha lagta hai.

Woh kehti hai!
Mera dil tum se aakhir kyu nahi bharta?

Main kehta hun!
Mohabbat ki koi hadd nahi hoti.

Woh kehti hai!
Batao, Main tumhein kyu bha gai itni?
Main kehta hun!
Meri jaan haadse to ho hi jate hain.

Woh kehti hai!
Achanak main tumhein yun hi rula dun to?
Main kehta hun!
Mujhe darr hai ke tum bhi bheeg jaogi.


Bookmark and Share

Lakeeren mita deta

Kahan mumkin tha main dil se teri yaad mita deta,
Bhala kaise main jeeta! agar tujh ko bhula deta,

Teri Ruswai ke darr se labon ko si liya warna,
Tere Shaher-e-Munafiq ki main buniyadein hila deta,

Kiya tark-e-wafa uss ne, hogi uss ki majburi,
Jise barson dua di thi, usse kya bad-dua deta,

Khabar hoti agar mujh ko, nahi hai tu muqaddar mein,
Usi lamhe main, hathon ki lakeeren mita deta.


Bookmark and Share

Wednesday, June 24, 2009

Mareez-e-Gham

Yun hi tanhai mein ab dil ko saza dete hain,
Naam likhte hain tera likh ke mita dete hain,

Jab bhi nakaam mohabbat ka koi zikr kare,
Log hanste hain mera naam bata dete hain,

Ab khushi ki koi tarkeeb na sojhe,
Ab ye aalam hai ke ghum hi maza dete hain,

Kya zarurat hai ke dete ho khud ko ye zahmat,
Lao hum khud hi nashaimen ko jala dete hain,

Ab tasalli nahi di jati mareez-e-gham ko,
Dekhne walay bhi marne ki Dua dete hain.


Bookmark and Share

Tuesday, June 23, 2009

Samandar

Gehri Gehri, Zaat Samandar
Din Sehra , Aur Raat Samandar

Main Höön Phir Bhi, tishna tishna
Warna, Us ki Zaat Samandar

Samne, Us ki Aankhon k,
Teri kya, Auqat Samandar

Mèrì Chup Bhi Sehra Sehra,
Us ki Hr Ik Baat, Samandar

Boond Boond ko Tarsay Sehra
Pee Jaye Barsaat, Samandar!!


Bookmark and Share

Sunday, June 21, 2009

Tanha

Lab-e khamosh se afsha hoga
Raaz har rang mein rusva hoga

Dil ke sehra mein chali sard hava
Abr gulzaar pe barsa hoga

Tum nahi the tou sar-e-baam-e-khayal
Yaad kaa koyi sitaara hoga

Kis tavaqqo pe kisi ko dekhein
Koyi tum se bhi haseen kya hoga

Zeenat-e-halqa- e-aagosh bano
Door baithoge tou charcha hoga

Zulmat-e-shab mein bhi sharmaate ho
Dard chamkega tou phir kya hoga

Jis bhi funkaar ka shahkaar ho tum
Us ne sadiyon tumhein socha hoga

Kis qadar karb se chataki hai kali
Shaakh se gul koi toota hoga

Umr bhar roye faqat is dhun mein
Raat beeti tou ujala hoga

Sari dunia hamein pahchanti hai
Koyi ham-sa bhi na tanha hoga


Bookmark and Share

Sunday, June 14, 2009

Chehra Gulab Jaisa Hai

Badan mein aag si chehra gulab jaisa hai,
Ke Zaher-e gam ka nasha bhi sharab jaisa hai

Kahan wo qurb ke ab to ye haal hai jaise,
Tere firaaq ka aalam bhi khwab jaisa hai,

Magar kabhi koi dekhe koi parhe to sahi,
Dil aaina hai to chehra kitab jaisa hai,

Wo saamne hai magar tishnagi nahin jaati,
Ye kya sitam hai ke dariya saraab jaisa hai,

'Preet' sang-e-malaamat se zakhm zakhm sahi,
Humein aziz hai khana kharab jaisa hai


Bookmark and Share

Saturday, June 6, 2009

ख्वाब

तू बता ऐ दिल-ऐ-बेताब, कहाँ आते हैं,
हमको खुश रहने के आदाब कहाँ आते हैं,
मैं तो यूं ही सौंप दूं उससे सब कुछ लेकिन,
एक मुठी में मेरे ख्वाब कहाँ आते हैं,
मुद्दतों बाद तुझे देख कर दिल भर आया,
वरना सहराओं में सैलाब कहाँ आते हैं,
मेरी बेदार निगाहों में अगर भूले से,
नींद आये भी तो ख्वाब कहाँ आते हैं,
शिद्दत-ऐ-दर्द है या कसरत-ऐ-मे-नोशी है,
होश में अब तेरे बेताब कहाँ आते हैं,
हूँ किसी तरह तेरे दर पे ठिकाना कर लें,
हम फकीरों को ये आदाब कहाँ आते हैं,
सर-बसर जिन में प्रीत तेरी झलक मिलती थी,
अब हमें वो ख्वाब कहाँ आते हैं.


Bookmark and Share

Deewani

Garr tu meri deewani ho jaaye.
Harr sham suhani ho jaaye.

Aao ghar basaein keh-kashaan mein,
Sar-e-zameen saari veerani ho jaaye.

Charche hon kalliyon aur shabnam ke,
Harr phool apni kahani ho jaaye.

Na naam rahe kissi be-wafayee ka,
Ye kissa yun-hi zabani ho jaaye.

Khazaan ke toote patton ka ya-rabb,
Harr bashar qadar-dani ho jaaye.

Tere jalwe husan-o-zulaf ke tamaam,
Bhooli bisri kahani ho jaaye.

Ab raaton ko taare ginn-ne chhod do,
Harr subhah raat ki nishani ho jaaye.

Tanhayee mein unn ki yaad ka aalam,
Garr zindgi ki meharbani ho jaaye.

Khushi ka daur har gharri har pal,
Cham-e-purashaq se aana-kaani ho jaaye.

Laazim nahin, ke chhoo len tere hassin labb,
Tere Preet ki kammsin jawaani ho jaaye......


Bookmark and Share

Bhula Bhi Dena

Ek diya dil main jalana bhi, bujha bhi dena,
Yaad karna bhi usse roj, bhula bhi dena,

Kya kahu ye meri chahat hai ke nafrat uss ki,
Naam likhna bhi mera aur likh ke mita bhi dena,

Fir na milne ko bichharta hu tujh se lekin,
Murh ke dekhun to palatne ki dua bhi dena,

Khat bhi likhna usse, mayus bhi rehna uss se,
Jurm karna bhi magar khud ko sazaa bhi dena,

Mujh ko rasmon ka takalluf bhi gawara lekin,
Jee mein aaye to yeh diwar gira bhi dena,


Bookmark and Share

Wednesday, June 3, 2009

Uss Se Kehna

Agar meri mohabbat mein
Na thi paakizgi itni

Tujhe tarq-e-taluq mein
Kyun mushkil bani itni

Badal jaao bhale tum bhi
Magar ye zehan mein rakhna

Kahin pachtawa ban na jaaye
Hum se be-rukhi itni

Tujhe yun toot kar chaaha
Wajood apna mitaa daala

Khuda ko paa chuke hote
Jo karte bandagi itni...!


Bookmark and Share

Mar Jayen

Hai dil ki tamanna mar jayen,
jeene ki kasam kyu dete ho.

Hum chhod chuke hai jis mai ko,
Pine ki kasam kyu dete ho.

Bekadar tumhe kya khabar,
Abhi tak jakham hamare taaja hain.

Jane do ab unn jakhmon ko,
Sine ki kasam kyu dete ho.

Din-raat bhavar me tufaan se,
Takarana apni kismat hai.

Aise me bhala tum sahil ko,
Chhune ki kasam kyu dete ho.

Masoom hamara akela dil,
Aur uss par lakhon julm-sitam

Jab rona apna jeevan hai,
Hasne ki kasam kyu dete ho


Bookmark and Share