Pages

Wednesday, June 16, 2010

Ik Arzoo Hi Poori Parwardigar Kare

Ik arzoo hi poori parwardigar kare,
Main der se jaun wo mera intezar kare,

Apne hathon se sanware zulfein meri,
Wo itra kar mohabbat ka iqrar kare,

Lipat jaye mujh se aalam-e-madhoshi mein,
Aur josh-o-junoon mein mohabbat ka izhar kare,

Ho shab wisal ki aisi ya Rab,
Ke choom ke matha mujhe bedaar kare,

Jab usse chhor ke main jana chahun,
Wo ro ke ek aur lamhe ka israr kare,

Qasam khuda ki main kisi aur ki ho nahi sakti,
Yeh wada-e-wafa wo bar bar kare...!!!

**********

इक आरज़ू ही पूरी परवरदिगार करे,
मैं देर से जाऊं वो मेरा इंतज़ार करे,

अपने हाथों से संवारे जुल्फें मेरी,
वो इतरा कर मोहब्बत का इकरार करे,

लिपट जाये मुझ से आलम-ए-मदहोशी में,
और जोश-ओ-जुनू में मोहब्बत का इज़हार करे,

हो शब् विसाल की ऐसी या रब,
के चूम के माता मुझे बेदार करे,

जब उसे छोड़ के मैं जाना चाहूँ,
वो रो के एक और लम्हे का इसरार करे,

क़सम खुदा की मैं किसी और की हो नहीं सकती,
ये वादा-ए-वफ़ा वो बार बार करे...!!!

2 comments: