Pages

Friday, May 7, 2010

Mujhse Bichad Ke

Mujhse bichad ke shahar mein ghul mil gaya wo shakhs,
Halaan ke shahar bhar se adawat usse bhi thi,

Wo mujhse barh ke zabt ka aadi tha jee gaya,
Warna har ik saans qayamat use bhi thi,

Sunta tha wo bhi sab se purani kahaniyan,
Shayad rafaqaton ki zaroorat usse bhi thi,

Tanha hua safar mein to mujh par khula ye raaz,
Saaye se pyar dhoop se nafrat usse bhi thi,

Mohsin main uss se keh na saka haal-e-dil,
Dar-pesh ek taaza musibat use bhi thi...!!!

**********

मुझसे बिछड के शहर में घुल मिल गया वो शख्स,
हालां के शहर भर से अदावत उसे भी थी,

वो मुझसे बढ़ के ज़ब्त का आदी था जी गया,
वरना हर इक सांस क़यामत उससे भी थी,

सुनता था वो भी सबसे पुरानी कहानियां,
शायद रफाक़तों की ज़रूरत उसे भी थी,

तन्हा हुआ सफर में तो मुझ पर खुला ये राज़,
साये से प्यार धूप से नफरत उसे भी थी,

मोहसिन मैं उससे कह न सका हाल-ए-दिल,
दर-पेश एक ताज़ा मुसीबत उसे भी थी...!!!

No comments:

Post a Comment