Pages

Sunday, May 16, 2010

Usse Bhi Apne Kiye Ka Malal Hona Hai

Abhi to ishq mein aisa bhi haal hona hai,
Ke ashq rokna tum se muhaal hona hai,

Har ek lab pe hai meri wafa ke afsane,
Tere sitam ko abhi la'zawal hona hai,

Tumhe khabar hi nahin tum to lut jaoge,
Tumhare hijr mein ik lamha saal hona hai,

Hamari rooh pe jab bhi azaab utre hain,
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hai,

Kabhi to royega woh bhi kisi ki baahon mein,
Kabhi to uss ki hansi ko zawal hona hai,

Milegi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyan,
Bas intizar hai kab ye kamal hona hai,

Har ek shakhs chalega hamari raahon per,
Mohabaton mein hume woh misaal hona hai,

Zamana jis ke kham-o-pech mein ulajh jaye,
Humari zaat ko aisa sawal hona hai,

Yaqeen hai mujh ko woh laut ayega,
Usse bhi apne kiye ka malal hona hai...!!!

**********

अभी तो इश्क में ऐसा भी हाल होना है,
के अश्क रोकना तुम से मुहाल होना है,

हर एक लब पे हैं मेरी वफ़ा के अफसाने,
तेरे सितम को अभी लाजवाल होना है,

तुम्हे तो खबर ही नहीं तुम तो लुट जाओगे,
तुम्हारे हिज्र में इक लम्हा साल होना है,

हमारी रूह पे जब भी अज़ाब उतरे हैं,
तुम्हारी याद को इस दिल की ढाल होना है,

कभी तो रोयेगा वो भी किसी की बाँहों में,
कभी तो उस की हँसी को ज़वाल होना है,

मिलेगी हम को भी अपने नसीब की खुशियाँ,
बस इंतज़ार है कब ये कमाल होना है,

हर एक शख्स चलेगा हमारी राहों पर,
मोहब्बत में हमें वो मिसाल होना है,

ज़माना जिस के ख़म-ओ-पेच में उलझ जाये,
हमारी जात को ऐसा सवाल होना है,

यकीन है मुझ को वो लौट आयेगा,
उसे भी अपने किये का मलाल होना है...!!!

2 comments: