Pages

Saturday, November 28, 2009

Ajnabi Shehar Ke Ajnabi Raste

Ajnabi shehar ke ajnabi raste,
Meri tanhai par muskurate rahe,

Main bahut der tak yun hi chalta raha,
Tum bahut der tak yaad aate rahe,

Zehar milta raha, zehar peete rahe,
Roz marte rahe, roz jeete rahe,
Zindgi humein aazmati rahi,
Aur hum bhi use aazmate rahe,

Zakham jab bhi koi Zehan-O-Dil par laga,
Zindgi ki taraf ik dareecha khula,
Hum bhi goya kisi saaz ke taar hain,
Chot khaate rahe, Gungunate rahe,

Kal kuch aisa hua main bahut thak gaya,
Isliye sun ke bhi ansuni kar gaya,
Kitni yaadon ke bhatke hue karvaan,
Dil ke zakhmon ke dar khat-khatate rahe

Ajnabi shehar ke ajnabi raaste,
Meri tanhai par muskurate rahe...!!!


अजनबी शहर के अजनबी रास्ते,
मेरी तन्हाई पर मुस्कुराते रहे,
मैं बहुत देर तक यूं ही चलता रहा,
तुम बहुत देर तक याद आते रहे,
ज़हर मिलता रहा ज़हर पीते रहे,
रोज़ मरते रहे रोज़ जीते रहे,
ज़िंदगी हमें आज़माती रही,
और हम भी उसे आज़माते रहे,
ज़खम जब भी कोई ज़हन्-ओ-दिल पर लगा,
ज़िंदगी की तरफ इक दरीचा खुला,
हम भी गोया किसी साज़ के तार हैं,
चोट खाते रहे, गुनगुनाते रहे,

कल कुछ ऐसा हुआ मैं बहुत थक गया,
इसलिये सुन के भी अनसुनी कर गया,
कितनी यादों के भटके हुए कारवां,
दिल के ज़ख्मों के दर खटखटाते रहे...!!!

Friday, November 27, 2009

Sir Jhukane Ki Aadat Nahi Rahi

सिर झुकाने की आदत नहीं रही,
आंसू बहाने की आदत नहीं रही,
हम खो गये पछ्ताओगे बहुत,
हमारी लौट के आने की आदत नहीं रही,
तेरे दर पर मोहब्बत के सवाली बन जाते,
लेकिन हाथ फैलाने की आदत नहीं रही,
तेरी यादें हमको अज़ीज़ हैं बहुत,
मगर वक़्त गंवाने की आदत नहीं रही,
तुम सख्त दिल निकले क्या गिला करें हम,
शिक्वा-ए-दिल लब पे लाने की आदत नहीं रही,
बद् दुआ भी क्या करें हक़ में तुम्हारे,
हमें तो दिल भी दुखाने की आदत नहीं रही...!!!


Sir jhukane ki aadat nahi rahi,
Aansu bahane ki aadat nahi rahi,

Hum kho gaye to pachhtao ge bahut,
Hamari laut ke aane ki aadat nahi rahi,

Tere dar par mohabbat ke sawaali ban jate,
Lekin hath failane ki aadat nahi rahi,

Teri yaadein humko aziz hain bahut,
Magar waqt gawane ki aadat nahi rahi,

Tum sakht dil nikle kya gila karein hum,
Shikwa-e-dil lab pe lane ki aadat nahi rahi,

Bad'dua bhi kya karein haq mein tumhare,
Humein to dil bhi dukhane ki aadat nahi rahi...!!!

Thursday, November 26, 2009

Hath Vi Mere Jore Reh Gaye

Lekhan vich vichhore reh gaye,
Athru ro ro thore reh gaye,

Ik na manni ohne meri,
Hath vi mere jorhe reh gaye,

Jandi vari chhad gaya mainu,
Bhije vaal nichore reh gaye,

Eid di fazrey vi na murh ke aaya,
Motiye di phull torhe reh gaye,

Hun te aa mil sanwal yaar,
Zindgi de din thhore reh gaye...!!!


Saturday, November 14, 2009

Mujhko Mere Naam Se

Khaatir se ya lihaaz se main maan to gaya,
Jhoothi kasam se aap ka imaan to gaya,

Dil leke muft, kehte hai kuch kaam ka nahi,
Ulti Shikayat’ein rahi ahsaan to gaya,

Dekha hai butkade mein jo ae huzur kuch na kuch,
Imaan ki to ye hai imaan to gaya,

Darta hoon dekh kar dil-e-be-aarzoo ko main,
Sunsaan ghar ye kyu na ho mehmaan to gaya,

Jo naamabar se khush na hua, par hazaar shukar,
Mujhko mere naam se pehchaan to gaya,

Hosh-o-hawaas o tab-o-tavaan ‘Daag’ jo chuke,
Ab hum bhi jaane waale hain saaman to gaya…!!!

Friday, November 13, 2009

Jab Woh The

Kitaabon mein mere fasaane dhoondte hai,
Naadaan hai guzre zamaane dhoondte hai,

Jab woh the..! Talaash-e-zindagi bhi thi,
Ab to maut ke thikaane dhoondte hai,

Kal khud hi apni mehfil se nikaala tha,
Aaj hue se deewaane dhoondte hai,

Musafir be-khabar hai teri aankhon se,
Tere shahar mein maikhaane dhoondte hai,

Tujhe kya pata ae sitam dhaane wale,
Hum to rone ke bahaane dhoondte hai,

Unki aankhon ko youn na dekho,
Naye teer hai nishaane dhoondte hai...!!!

Mohabbat Seekh Kar Karna

Mohabbat seekh kar karna,
Ke bin seekhe mohabbat ka safar dushwar hota hai,
Gireban taar hota hai,
Kabhi inkar hota hai,
Kabhi ikrar hota hai,

Mohabbar seekh kar karna,
Ke bin seekhe mohabbat to srabon ki kahani hai,
Dukhon ki raj-dhani hai,
Jo kal ban jayega badal,
Yeh dariya ka woh pani hai,

Mohabbat seekh kar karna,
Ke bin seekhe mohabbat to azab-e-zindgi thehri,
Sarab-e-zindgi thehri,
Na ho takmeel jiski woh
Kitab-e-zindgi thehri,
Isi khatir to kehta hoon,

Kisi Ustaad-e-kamil se,
Mohabbat Seekh kar karna...!!!

Saturday, November 7, 2009

Mujhe Tum Yaad Aate Ho

Mukaddar ke sitaron par,
Zamane ke isharon par,
Udasi ke kinaron par,

Kabhi veeran shehron mein,
Kabhi sunsaan rahon par,

Kabhi hairaan aakhon mein,
Kabhi bejaan lamhon mein,

Tumhari yaad chupke se,
Koi sargoshi karti hai,

Yeh palkein bheeg jati hain,
Do aansoo toot girte hain,

Main palkon ko jhukata hoon,
Bazahir muskurata hoon,
Faqat itna keh pata hoon,

Mujhe kitna sata'te ho,
Mujhe tum yaad aate ho...!!!

**********

मुकद्दर के सितारों पर,
ज़माने के इशारों पर,
उदासी के किनारों पर,

कभी वीरान शहरों में,
कभी सुनसान राहों पर,

कभी हैरान आखों में,
कभी बेजान लम्हों में,

तुम्हारी याद चुपके से,
कोई सरगोशी करती है,

यह पलकें भीग जाती हैं,
दो आंसू टूट गिरते हैं,

मैं पलकों को झुकाता हूँ,
बज़ाहिर मुस्कुराता हूँ,
फक़त इतना कह पाता हूँ,

मुझे कितना सताते हो,
मुझे तुम याद आते हो...!!!

Mujhe To Khair Tera Intezar Karna Hai

Wafa main abb ye hunar ikhtiyar karna hai,
Wo sach kahe na kahe, aitbar karna hai,

Ye tujh ko jagte rehne ka shouq kab se hua,
Mujhe to khair tera intezar karna hai,

Hawa ke zad mein jalane hain aansoo ke chirag,
Kabhi ye jashan sar rah'guzaar karna hai,

Woh muskura kar naye vishwason mein daal gaya,
Khayal tha ke usse sharam'sar karna hai,

Misaal-e-Shaakh-e-Badhana khizzan ke rut mein kabhi,
Khud apne jism ko be-barg-o-baar karna hai,

Tere firaaq mein din kis tarha kat'te apne,
Keh shugal-e-shab tu sitare shumar karna hai,

Chalo ye ashq hi moti samajh ke bech aayein,
Kissi tarha to humein rozgaar karna hai,

Kabhi tu dil mein chhupe zakham bhi numayan hoon,
Qaba samajh ke badan taar-taar karna hai,

Khabar yeh koi zid ke shouq hai mohsin,
Khud apni jaan ke dushman se pyar karna hai...!!!

Tum Bhi Kya Kamaal Karte Ho

Ranj de kar malaal karte ho,
Tum bhi kya kamaal karte ho,

Dekh kar pooch liya haal mera,
Chalo kuch to mera khayal karte ho,

Shehar-e-dil mein ye udasiyan kaisi,
Ye bhi mujh se sawaal karte ho,

Ab kis kis ki misaal doon main,
Har sitam be-misaal karte ho...!!!

Mujh Ko Kya Chahiye Tum Ko Paane Ke Baad

Vo jyada yaad aaye bhulane ke baad,
Zindgi badh gai zehar khane ke baad,

Dil sulagta raha aashiane ke baad,
Aag thandi hui ik zamane ke baad,

Raushni ke liye ghar jalana pada,
Kaisi zulmat badhi tere jaane ke baad,

Jab na kuchh ban pada arz-e-gam ka jawab,
Vo khafa ho gaye muskurane ke baad,

Dushmano se pashemaan hona pada hai,
Doston ka khuloos aazmane ke baad,

Bakhsh de yaa rab ahal-e-havas ko bahisht,
Mujh ko kya chahiye tum ko paane ke baad,

Kaise kaise gile yaad aaye 'Khumar'
Un ke aane se Qabl un ke jaane ke baad...!!!

Wednesday, November 4, 2009

Usse Mera Abhi Ahsaas Hona Bhi

Bahut ummeed rakhna aur fir be'aas hona bhi,
Bashar ko maar deta hai bahut hasaas hona bhi,

Suno ik kaan se aur doosre se faink do bahar,
Bahut nuksan dey hai saheb-e-ahsaas hona bhi,

Agarchay tum dikhawe ke liye hi sath ho mere,
Chalo' itna hi kafi hai tumhara paas hona bhi,

Yun to abr-e-rehmat ki talab karta nahi hoon main,
Zaroori hai muqaddar main zara si pyas hona bhi,

Kai chehre latak jate hain khushiyo ki khabar sun kar,
Humein to roop deta hai ghamon ka raas hona bhi,

Jalegi khud-ba-khud saadi dilon mein pyar ki shama,
Ghanimat hai usse mera abhi ahsaas hona bhi...!!!

Mujhe Tum Se Ishq Zaroor Hai

Teri uss adaa se bhi hun aashna,
Tujhe jis pe itna garoor hai,

Main jiyunga tere bagair bhi,
Mujhe zindgi ka sha'oor hai,

Na hawas mujhe may-naab ki,
Na talab saba-o-sahaab ki,

Teri chashm-e-naz ke khair ho,
Mujhe be-piye hi saroor hai,

Jo samajh liya tujhe bewafa,
To is mein teri kya khata,

Yeh khayal mere dimag ka,
Yeh meri nazar ka kasoor hai,

Koi baat dil mein woh tthan ke,
Na ulajh parhe teri shan se,

Wo niyazmand jo ke sir ba-khum,
Kai din se tere huzoor hai,

Main nikal ke bhi tere daam se,
Na giroon ke apne maqaam se,

Main Katil-e-jor-o-sitam sahi,
Mujhe tum se ishq zaroor hai...!!!